sae se hausle ke bidakte hain raste
saa.e se hausle ke bidakte haiñ rāste
aage baḌhūñ to pīchhe sarakte haiñ rāste
aañsū hazār TuuT ke barseñ to pī ke chup
ik qahqaha uḌe to khanakte haiñ rāste
samjho to ghar se ghar kā ta.alluq unhī se hai
dekho to be-maqām bhaTakte haiñ rāste
dāman meñ un ke paañv ke aise nishāñ bhī haiñ
rah rah ke jin ke dam se damakte haiñ rāste
tāroñ kī chhāñv narm hai sun letī hai pukār
din bhar kī dhuup meñ jo bilakte haiñ rāste
raahe chaleñ jo ham to chale aa.eñ ye bhī saath
qadmoñ kī piiTh par hī ThiTakte haiñ rāste
sae se hausle ke bidakte hain raste
aage baDhun to pichhe sarakte hain raste
aansu hazar TuT ke barsen to pi ke chup
ek qahqaha uDe to khanakte hain raste
samjho to ghar se ghar ka talluq unhi se hai
dekho to be-maqam bhaTakte hain raste
daman mein un ke panw ke aise nishan bhi hain
rah rah ke jin ke dam se damakte hain raste
taron ki chhanw narm hai sun leti hai pukar
din bhar ki dhup mein jo bilakte hain raste
rahe chalen jo hum to chale aaen ye bhi sath
qadmon ki piTh par hi ThiTakte hain raste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.