saghar-e-dil kaif-o-masti se labaalab bhar gaya
sāġhar-e-dil kaif-o-mastī se labālab bhar gayā
kis kā e.ajāz-e-nazar sarshār o be-ḳhud kar gayā
un ke dāman se huī kuchh is qadar vābastagī
ġhuncha-e-dil khil gayā phūloñ se dāman bhar gayā
ham ta.āqub bhī na kar paa.e kahāñ kī ham-rahī
gard hī aa.ī nazar jis raah se rahbar gayā
be-ḳhatā hone pe bhī ilzām apne sar rahe
kaun jaane jaur kā ilzām kis ke sar gayā
ḳhauf kuchh aisā baḌhāyā zulmat-e-ehsās ne
aur to aur aksar apne saa.e se dil Dar gayā
munhasir zauq-e-nazar par hai nazāroñ kī bisāt
jis taraf uTThī nigāheñ us taraf manzar gayā
us ke naqsh-o-aks kī parchhā.iyāñ dekhā kiye
toḌ kar rishte diloñ ke jo kinārā kar gayā
zo'm thā jis ko 'rishī' husn-e-adā-e-nāz par
aa.ina dekhā to apnī hī nazar se Dar gayā
saghar-e-dil kaif-o-masti se labaalab bhar gaya
kis ka eajaz-e-nazar sarshaar o be-KHud kar gaya
un ke daman se hui kuchh is qadar wabastagi
ghuncha-e-dil khil gaya phulon se daman bhar gaya
hum taaqub bhi na kar pae kahan ki ham-rahi
gard hi aai nazar jis rah se rahbar gaya
be-KHata hone pe bhi ilzam apne sar rahe
kaun jaane jaur ka ilzam kis ke sar gaya
KHauf kuchh aisa baDhaya zulmat-e-ehsas ne
aur to aur aksar apne sae se dil Dar gaya
munhasir zauq-e-nazar par hai nazaron ki bisat
jis taraf uTThi nigahen us taraf manzar gaya
us ke naqsh-o-aks ki parchhaiyan dekha kiye
toD kar rishte dilon ke jo kinara kar gaya
zo'm tha jis ko 'rishi' husn-e-ada-e-naz par
aaina dekha to apni hi nazar se Dar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.