saghar mein bhi Dhalti rahti hai sajdon mein bhi palti rahti hai
saghar mein bhi Dhalti rahti hai sajdon mein bhi palti rahti hai
Ehsan Darbhangavi
MORE BYEhsan Darbhangavi
sāġhar meñ bhī Dhaltī rahtī hai sajdoñ meñ bhī paltī rahtī hai
ḳhvāhish hai bahar-hāl ek magar sau bhes badaltī rahtī hai
ādāb badalte rahte haiñ tahzīb badaltī rahtī hai
insān kī fitrat sāñche meñ hālāt ke Dhaltī rahtī hai
baat apne apne zarf kī hai dariyā kī matānat kyoñ ho ḳhafā
dariyā hī se vo bhī niklī hai jo nahr machaltī rahtī hai
is rāhguzār-e-imkāñ meñ arbāb-e-havas kī māzūrī
phūloñ kī tamanna dil meñ liye kāñToñ pe chaltī rahtī hai
ai ham-nafaso aaheñ na bharo nākām sahī māyūs na ho
ye kis ne kahā ġham kī āñdhī chaltī hai to chaltī rahtī hai
saudā-e-talab gumrāh sahī lekin ye natīja kyā kam hai
har silsila-e-naqsh-e-pā se ik raah nikaltī rahtī hai
imkān vahī paimāne vahī ruj.hān vahī afsāne vahī
dīvāne vahī 'ehsāñ' lekin zanjīr badaltī rahtī hai
saghar mein bhi Dhalti rahti hai sajdon mein bhi palti rahti hai
KHwahish hai bahar-haal ek magar sau bhes badalti rahti hai
aadab badalte rahte hain tahzib badalti rahti hai
insan ki fitrat sanche mein haalat ke Dhalti rahti hai
baat apne apne zarf ki hai dariya ki matanat kyon ho KHafa
dariya hi se wo bhi nikli hai jo nahr machalti rahti hai
is rahguzar-e-imkan mein arbab-e-hawas ki mazuri
phulon ki tamanna dil mein liye kanTon pe chalti rahti hai
ai ham-nafaso aahen na bharo nakaam sahi mayus na ho
ye kis ne kaha gham ki aandhi chalti hai to chalti rahti hai
sauda-e-talab gumrah sahi lekin ye natija kya kam hai
har silsila-e-naqsh-e-pa se ek rah nikalti rahti hai
imkan wahi paimane wahi rujhan wahi afsane wahi
diwane wahi 'ehsan' lekin zanjir badalti rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.