sahib-e-fahm-o-farasat jo hain ghar baiThe hain
sāhib-e-fahm-o-farāsat jo haiñ ghar baiThe haiñ
aur har moḌ pe kuchh sho.abda-gar baiThe haiñ
jis taraf sab haiñ udhar honā baḌī baat na thī
kuchh to uljhan hai jo ham aa ke idhar baiThe haiñ
āsmānoñ ke ishāre nahīñ samjhe ham ne
ab zamīnoñ pe sameTe hue par baiThe haiñ
ai mire dīda-varo kaun sī majbūrī hai
kyoñ jhukā.e hue darbār meñ sar baiThe haiñ
shab-parastoñ se nibhānā hai ta.alluq varna
ham chhupā.e hue muTThī meñ sahar baiThe haiñ
tū ne muḳhlis jinheñ samjhā hai nazar rakh un par
dost ban ke tirī kashtī meñ bhañvar baiThe haiñ
sher achchhā thā magar daad nahīñ mil paa.ī
maslahat oḌh ke sab ahl-e-nazar baiThe haiñ
aur phir dil kā kahā maan liyā thā 'tāriq'
ik yahī kār-e-nadāmat thā jo kar baiThe haiñ
sahib-e-fahm-o-farasat jo hain ghar baiThe hain
aur har moD pe kuchh shoabda-gar baiThe hain
jis taraf sab hain udhar hona baDi baat na thi
kuchh to uljhan hai jo hum aa ke idhar baiThe hain
aasmanon ke ishaare nahin samjhe hum ne
ab zaminon pe sameTe hue par baiThe hain
ai mere dida-waro kaun si majburi hai
kyon jhukae hue darbar mein sar baiThe hain
shab-paraston se nibhana hai talluq warna
hum chhupae hue muTThi mein sahar baiThe hain
tu ne muKHlis jinhen samjha hai nazar rakh un par
dost ban ke teri kashti mein bhanwar baiThe hain
sher achchha tha magar dad nahin mil pai
maslahat oDh ke sab ahl-e-nazar baiThe hain
aur phir dil ka kaha man liya tha 'tariq'
ek yahi kar-e-nadamat tha jo kar baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.