sahib-e-sidq hun main KHauf-e-KHuda rakhta hun
sāhib-e-sidq huuñ maiñ ḳhauf-e-ḳhudā rakhtā huuñ
apne hoñToñ pe sadā haq kī sadā rakhtā huuñ
āj-kal jiine kā andāz judā rakhtā huuñ
apne dushman ke liye lab pe duā rakhtā huuñ
band kamre meñ koī baiTh ke kuchh bhī soche
maiñ khule dar kī tarah zehn khulā rakhtā huuñ
mausam-e-gul kī kisī choT kā shikva kaisā
maiñ to patjhaḌ meñ bhī har zaḳhm harā rakhtā huuñ
jaane kis haal meñ hogā vo mirā harjā.ī
jeb meñ aaj bhī maiñ jis kā patā rakhtā huuñ
us ke aane kī abhī aas nahīñ TuuTī hai
har darīche meñ diyā jaltā huā rakhtā huuñ
pārsā mujh ko samajhte haiñ zamāne vaale
aur maiñ pesh-e-nazar apnī ḳhatā rakhtā huuñ
mujh ko kuchh Dar nahīñ is daur ke fir.aunoñ kā
kyūñki muusā kī tarah maiñ bhī asā rakhtā huuñ
tum mujhe daar pe khīñcho yā mujhe qatl karo
dār-bardār huuñ maiñ azm nayā rakhtā huuñ
dostī yuuñ to hai is shahr meñ sab se lekin
apne dushman kā bhī ai 'shauq' patā rakhtā huuñ
sahib-e-sidq hun main KHauf-e-KHuda rakhta hun
apne honTon pe sada haq ki sada rakhta hun
aaj-kal jine ka andaz juda rakhta hun
apne dushman ke liye lab pe dua rakhta hun
band kamre mein koi baiTh ke kuchh bhi soche
main khule dar ki tarah zehn khula rakhta hun
mausam-e-gul ki kisi choT ka shikwa kaisa
main to patjhaD mein bhi har zaKHm hara rakhta hun
jaane kis haal mein hoga wo mera harjai
jeb mein aaj bhi main jis ka pata rakhta hun
us ke aane ki abhi aas nahin TuTi hai
har dariche mein diya jalta hua rakhta hun
parsa mujh ko samajhte hain zamane wale
aur main pesh-e-nazar apni KHata rakhta hun
mujh ko kuchh Dar nahin is daur ke firaunon ka
kyunki musa ki tarah main bhi asa rakhta hun
tum mujhe dar pe khincho ya mujhe qatl karo
dar-bardar hun main azm naya rakhta hun
dosti yun to hai is shahr mein sab se lekin
apne dushman ka bhi ai 'shauq' pata rakhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.