sahib-e-taKHt hai muqaddar se
sāhib-e-taḳht hai muqaddar se
jo nikālā gayā thā lashkar se
ab bhī hai vaqt lauT aao tum
paanī guzrā nahīñ abhī sar se
ishq aisā kī maut aane par
vo bhī niklegā mere andar se
zahr ḳhānā hī paḌ gayā āḳhir
peT raazī nahīñ thā patthar se
tum ne achchhā kiyā judā ho kar
ik balā Tal ga.ī mire sar se
maiñ batātā huuñ kyā balā hai ishq
ishq ik jang hai muqaddar se
dushmanoñ ko bhī us ne dāvat dī
chāhne vaale diid ko tarse
sahib-e-taKHt hai muqaddar se
jo nikala gaya tha lashkar se
ab bhi hai waqt lauT aao tum
pani guzra nahin abhi sar se
ishq aisa ki maut aane par
wo bhi niklega mere andar se
zahr KHana hi paD gaya aaKHir
peT raazi nahin tha patthar se
tum ne achchha kiya juda ho kar
ek bala Tal gai mere sar se
main batata hun kya bala hai ishq
ishq ek jang hai muqaddar se
dushmanon ko bhi us ne dawat di
chahne wale did ko tarse
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.