sahil-e-sham pe kuchh KHwab se afsane se
sāhil-e-shām pe kuchh ḳhvāb se afsāne se
DhūñDhte rahte haiñ kuchh log haiñ dīvāne se
raat phir aks kā jamghaT sā lagā rahtā hai
apne begāne se aur jaane se anjāne se
raat bhar us kī tamanna kā fusūn-e-paiham
raat bhar ḳhvāb meñ jalte hue parvāne se
mā-ġhulāmān-e-dar-e-kū-e-mohammad hastem
ham ko kyā kaam kisī aur galī jaane se
vo pukāreñ to 'husain' un kī galī ko dauḌeñ
vo nikāleñ to nikal jaa.eñ ḳhudā-ḳhāne se
sahil-e-sham pe kuchh KHwab se afsane se
DhunDhte rahte hain kuchh log hain diwane se
raat phir aks ka jamghaT sa laga rahta hai
apne begane se aur jaane se anjaane se
raat bhar us ki tamanna ka fusun-e-paiham
raat bhar KHwab mein jalte hue parwane se
ma-ghulaman-e-dar-e-ku-e-mohammad hastem
hum ko kya kaam kisi aur gali jaane se
wo pukaren to 'husain' un ki gali ko dauDen
wo nikalen to nikal jaen KHuda-KHane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.