sahil na koi ab ke meri dastaras mein tha
sāhil na koī ab ke mirī dastaras meñ thā
tūfān kaun sā mirī mauj-e-nafas meñ thā
majbūriyoñ ke DhūñDh ke laayā thā vo javāz
mujh se bichhaḌte vaqt magar pesh-o-pas meñ thā
lau de rahā thā mujh meñ añdheroñ ke bāvajūd
shāyad koī sharār jo sham’-e-nafas meñ thā
kis tarh dekhtā koī andar kī raushnī
har shaḳhs ḳhvāhishāt ke andhe qafas meñ thā
āñgan kī chhāñv se kahīñ bāhar kī dhuup tak
bas itnā fāsla hī to ‘ishq-o-havas meñ thā
sahil na koi ab ke meri dastaras mein tha
tufan kaun sa meri mauj-e-nafas mein tha
majburiyon ke DhunDh ke laya tha wo jawaz
mujh se bichhaDte waqt magar pesh-o-pas mein tha
lau de raha tha mujh mein andheron ke bawajud
shayad koi sharar jo sham’-e-nafas mein tha
kis tarh dekhta koi andar ki raushni
har shaKHs KHwahishat ke andhe qafas mein tha
aangan ki chhanw se kahin bahar ki dhup tak
bas itna fasla hi to ‘ishq-o-hawas mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.