sahil pe koi Dub ke ubhra na dubara
sāhil pe koī Duub ke ubhrā na dubārā
dariyā se balā-ḳhez hai girdāb-e-kinārā
har shaḳhs ko ab chāhiye daulat kā sahārā
ham haiñ ki jo karte haiñ mohabbat pe guzārā
taḌpā ke tumhīñ ne mujhe bedār kiyā hai
Thukrā ke tumhīñ ne mujhe chāhat pe ubhārā
muhtāt nigāhoñ se har ik phuul ko dekhūñ
Dartā huuñ ki chubh jaa.e na āñkhoñ meñ nazārā
dastūr-e-zabāñ-bandī kā 'ālam bhī 'ajab hai
kahnī ho koī baat to karte haiñ ishārā
ghar koī salāmat hai na sar koī salāmat
ai dost yahī shahr-e-mohabbat hai tumhārā
ik roz to ye tum ko batānā hī paḌegā
kis jurm kī pādāsh meñ 'irfān' ko maarā
sahil pe koi Dub ke ubhra na dubara
dariya se bala-KHez hai girdab-e-kinara
har shaKHs ko ab chahiye daulat ka sahaara
hum hain ki jo karte hain mohabbat pe guzara
taDpa ke tumhin ne mujhe bedar kiya hai
Thukra ke tumhin ne mujhe chahat pe ubhaara
muhtat nigahon se har ek phul ko dekhun
Darta hun ki chubh jae na aankhon mein nazara
dastur-e-zaban-bandi ka 'alam bhi 'ajab hai
kahni ho koi baat to karte hain ishaara
ghar koi salamat hai na sar koi salamat
ai dost yahi shahr-e-mohabbat hai tumhaara
ek roz to ye tum ko batana hi paDega
kis jurm ki padash mein 'irfan' ko mara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.