sahil pe muradon ka samundar nahin aaya
sāhil pe murādoñ kā samundar nahīñ aayā
vo shahr meñ ho kar bhī mire ghar nahīñ aayā
darvāze pe dastak huī zanjīr bhī khankī
jhoñkā thā havā kā koī andar nahīñ aayā
tū jab se mujhe chhoḌ ke pardes gayā hai
duniyā meñ mirī koī sikandar nahīñ aayā
maiñ shahr meñ phirtā huuñ liye chāk-e-garebāñ
lekin vo sitamgar vo rafūgar nahīñ aayā
majnūñ pe laḌakpan meñ uThāyā thā asad ne
'mansūr' mire sar pe vo patthar nahīñ aayā
sahil pe muradon ka samundar nahin aaya
wo shahr mein ho kar bhi mere ghar nahin aaya
darwaze pe dastak hui zanjir bhi khanki
jhonka tha hawa ka koi andar nahin aaya
tu jab se mujhe chhoD ke pardes gaya hai
duniya mein meri koi sikandar nahin aaya
main shahr mein phirta hun liye chaak-e-gareban
lekin wo sitamgar wo rafugar nahin aaya
majnun pe laDakpan mein uThaya tha asad ne
'mansur' mere sar pe wo patthar nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.