sajan ke swagat ko suraj laya bhar bhar thaali dhup
sājan ke svāgat ko sūraj laayā bhar bhar thālī dhuup
ḳhush ho kar donoñ hāthoñ se chāroñ or uchhālī dhuup
chhan chhan kar pattoñ se dikhā.e kyā kyā kalā nirālī dhuup
bun jaa.e dhartī par kaisī sundar sundar jaalī dhuup
jab tak saath thā man-mohan kā jīvan kitnā suhānā thā
chāñdnī jaise duudh kī dhāreñ jaise madh kī pyālī dhuup
tum jo nahīñ to apne liye haiñ rain aur din sab ek samān
byog kī andhī andhī rāteñ birhā kī kaalī kaalī dhuup
aaj mire sājan ke darshan shāyad us ko ho na sake
aaj hai phīkā phīkā sūraj aaj hai ḳhālī ḳhālī dhuup
merī agar bhagvān suneñ to ek hī bintī un se karūñ
ban ke badariyā chhā.ī rahūñ maiñ khā.eñ na mere aa.alī dhuup
'mehr' un kā nyotā aayā hai maiñ jī bhar ke gā.ūñgī
chandr-kiran chheḌegī biinā degī aa kar taalī dhuup
sajan ke swagat ko suraj laya bhar bhar thaali dhup
KHush ho kar donon hathon se chaaron or uchhaali dhup
chhan chhan kar patton se dikhae kya kya kala nirali dhup
bun jae dharti par kaisi sundar sundar jali dhup
jab tak sath tha man-mohan ka jiwan kitna suhana tha
chandni jaise dudh ki dhaaren jaise madh ki pyali dhup
tum jo nahin to apne liye hain rain aur din sab ek saman
byog ki andhi andhi raaten birha ki kali kali dhup
aaj mere sajan ke darshan shayad us ko ho na sake
aaj hai phika phika suraj aaj hai KHali KHali dhup
meri agar bhagwan sunen to ek hi binti un se karun
ban ke badariya chhai rahun main khaen na mere aaali dhup
'mehr' un ka nyota aaya hai main ji bhar ke gaungi
chandr-kiran chheDegi bina degi aa kar tali dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.