sakit-o-jamid jahan mein inqalab aa hi gaya
sakit-o-jamid jahan mein inqalab aa hi gaya
Shafatullah Khan shar
MORE BYShafatullah Khan shar
sākit-o-jāmid jahāñ meñ inqalāb aa hī gayā
zulmatoñ ko ḳhatm kar ke āftāb aa hī gayā
ik ḳhizāñ hī mūjib-e-barbādī-e-gulshan nahīñ
fasl-e-gul meñ bhī to gulchīñ kā azaab aa hī gayā
soch meñ gum thā ki āḳhir zindagī kyā chiiz hai
sāmne nazroñ ke merī ik habāb aa hī gayā
kam-sinī meñ zid kiyā karte the phūloñ ke liye
aaj un ko phuul lene meñ hijāb aa hī gayā
'sehr' dil par ab rahā hai na rahegā iḳhtiyār
phir usī zālim pe ye ḳhāna-ḳharāb aa hī gayā
sakit-o-jamid jahan mein inqalab aa hi gaya
zulmaton ko KHatm kar ke aaftab aa hi gaya
ek KHizan hi mujib-e-barbaadi-e-gulshan nahin
fasl-e-gul mein bhi to gulchin ka azab aa hi gaya
soch mein gum tha ki aaKHir zindagi kya chiz hai
samne nazron ke meri ek habab aa hi gaya
kam-sini mein zid kiya karte the phulon ke liye
aaj un ko phul lene mein hijab aa hi gaya
'sehr' dil par ab raha hai na rahega iKHtiyar
phir usi zalim pe ye KHana-KHarab aa hi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.