saman-e-ehtimam-e-charaghan abhi nahin
sāmān-e-ehtimām-e-charāġhāñ abhī nahīñ
mahfūz bijliyoñ se gulistāñ abhī nahīñ
merā nasīb haiñ ġham-e-daurāñ kī talḳhiyāñ
mere nasīb meñ ġham-e-jānāñ abhī nahīñ
kahte haiñ lab ki chheḌ fasāne bahār ke
kahtī hai aañkh zikr-e-bahārāñ abhī nahīñ
ab tak ḳhizāñ-rasīda hai sub.h-e-bahār-e-nau
āsūda-e-bahār-e-gulistāñ abhī nahīñ
har lab pe hai nazāra-e-sāhil kī guftugū
dil rāzdār-e-lazzat-e-tūfāñ abhī nahīñ
go sub.h ho chukī hai añdherā hanūz hai
kuchh e.atibār-e-sub.h-e-daraḳhshāñ abhī nahīñ
'fārūq' koī husn-e-charāġhāñ manā.e kyā
dil be-niyāz-e-bād-e-shahīdāñ abhī nahīñ
saman-e-ehtimam-e-charaghan abhi nahin
mahfuz bijliyon se gulistan abhi nahin
mera nasib hain gham-e-dauran ki talKHiyan
mere nasib mein gham-e-jaanan abhi nahin
kahte hain lab ki chheD fasane bahaar ke
kahti hai aankh zikr-e-bahaaran abhi nahin
ab tak KHizan-rasida hai subh-e-bahaar-e-nau
aasuda-e-bahaar-e-gulistan abhi nahin
har lab pe hai nazara-e-sahil ki guftugu
dil raazdar-e-lazzat-e-tufan abhi nahin
go subh ho chuki hai andhera hanuz hai
kuchh eatibar-e-subh-e-daraKHshan abhi nahin
'faruq' koi husn-e-charaghan manae kya
dil be-niyaz-e-baad-e-shahidan abhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.