saman to gaya tha magar ghar bhi le gaya
sāmān to gayā thā magar ghar bhī le gayā
ab ke fasād dil se mire Dar bhī le gayā
ḳhairāt baT rahī thī dar-e-shahryār par
sunte haiñ ab ke bhiik sikandar bhī le gayā
maañ ne bachā ke rakkhā thā beTī ke vāste
beTā huā javāñ to ye zevar bhī le gayā
aayā thā har kisī ko mohabbat se jītne
kuchh zaḳhm apne siine kā 'sāġhar' bhī le gayā
saman to gaya tha magar ghar bhi le gaya
ab ke fasad dil se mere Dar bhi le gaya
KHairaat baT rahi thi dar-e-shahryar par
sunte hain ab ke bhik sikandar bhi le gaya
man ne bacha ke rakkha tha beTi ke waste
beTa hua jawan to ye zewar bhi le gaya
aaya tha har kisi ko mohabbat se jitne
kuchh zaKHm apne sine ka 'saghar' bhi le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.