samne aa ke bhi chupke se nikal jate hain
sāmne aa ke bhī chupke se nikal jaate haiñ
haa.e kyā log haiñ kis tarah badal jaate haiñ
kasmasātā huā badlī meñ qamar lagtā hai
un ke gesū jo kabhī ruḳh pe machal jaate haiñ
ranj-o-ġham dard-o-musībat ke haiñ ḳhūgar kitne
garmī-e-husn se kuchh log pighal jaate haiñ
is qadar naam meñ un ke hai nashe kī lazzat
jām-o-paimāna o mai-ḳhāna machal jaate haiñ
ġham na kar manzil-e-maqsūd milegī 'anjum'
Thokareñ khā ke bahut log sañbhal jaate haiñ
samne aa ke bhi chupke se nikal jate hain
hae kya log hain kis tarah badal jate hain
kasmasata hua badli mein qamar lagta hai
un ke gesu jo kabhi ruKH pe machal jate hain
ranj-o-gham dard-o-musibat ke hain KHugar kitne
garmi-e-husn se kuchh log pighal jate hain
is qadar nam mein un ke hai nashe ki lazzat
jam-o-paimana o mai-KHana machal jate hain
gham na kar manzil-e-maqsud milegi 'anjum'
Thokaren kha ke bahut log sanbhal jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.