samne baiTh ke kuchh baat bhi ho sakti hai
sāmne baiTh ke kuchh baat bhī ho saktī hai
aap chāheñ to mulāqāt bhī ho saktī hai
kis ne samjhā hai badalte hue mausam kā mizāj
dhuup rahte hue barsāt bhī ho saktī hai
haath aa.ī huī baazī pe bahut naaz na kar
jītne vaale tujhe maat bhī ho saktī hai
vādī-e-shab meñ charāġhoñ kā ye lashkar kaisā
koī bhaTkī huī bārāt bhī ho saktī hai
ham ne dekhā bhī nahīñ tum ne pukārā bhī nahīñ
kal yahī vaj.h-e-shikāyāt bhī ho saktī hai
ham ne pahle hī ḳhabar-dār kiyā thā 'ma.asūm'
rāh-e-ulfat meñ koī ghaat bhī ho saktī hai
samne baiTh ke kuchh baat bhi ho sakti hai
aap chahen to mulaqat bhi ho sakti hai
kis ne samjha hai badalte hue mausam ka mizaj
dhup rahte hue barsat bhi ho sakti hai
hath aai hui bazi pe bahut naz na kar
jitne wale tujhe mat bhi ho sakti hai
wadi-e-shab mein charaghon ka ye lashkar kaisa
koi bhaTki hui baraat bhi ho sakti hai
hum ne dekha bhi nahin tum ne pukara bhi nahin
kal yahi wajh-e-shikayat bhi ho sakti hai
hum ne pahle hi KHabar-dar kiya tha 'masum'
rah-e-ulfat mein koi ghat bhi ho sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.