samne ho kar bhi kab sab par ayan hote hain log
samne ho kar bhi kab sab par ayan hote hain log
Syed Ziyauddin Naeem
MORE BYSyed Ziyauddin Naeem
sāmne ho kar bhī kab sab par 'ayāñ hote haiñ log
jo nazar aate haiñ vaise hī kahāñ hote haiñ log
chhāp se māhaul kī bachnā bahut dushvār hai
apne gird-o-pesh hī ke tarjumāñ hote haiñ log
pastiyoñ meñ bhī nazar aate haiñ 'azmat ke nishāñ
ḳhaak par rahte hue bhī āsmāñ hote haiñ log
qāfila sālār jab hote haiñ uf vo sā.ateñ
haa.e vo lamha ki jab be-kārvāñ hote haiñ log
zulm par bāñdheñ kamar to al-amān-o-al-hafīz
misl-e-chañgez ik balā-e-be-amāñ hote haiñ log
mehrbāñ ho jaa.eñ to ranj-o-alam kī dhuup meñ
peḌ kī sūrat ghanerā sā.ebāñ hote haiñ log
naqsh-e-pā tak bhī nahīñ milte kahīñ un ke 'na'īm'
dekhte hī dekhte yuuñ be-nishāñ hote haiñ log
samne ho kar bhi kab sab par 'ayan hote hain log
jo nazar aate hain waise hi kahan hote hain log
chhap se mahaul ki bachna bahut dushwar hai
apne gird-o-pesh hi ke tarjuman hote hain log
pastiyon mein bhi nazar aate hain 'azmat ke nishan
KHak par rahte hue bhi aasman hote hain log
qafila salar jab hote hain uf wo saaten
hae wo lamha ki jab be-karwan hote hain log
zulm par bandhen kamar to al-aman-o-al-hafiz
misl-e-changez ek bala-e-be-aman hote hain log
mehrban ho jaen to ranj-o-alam ki dhup mein
peD ki surat ghanera saeban hote hain log
naqsh-e-pa tak bhi nahin milte kahin un ke 'na'im'
dekhte hi dekhte yun be-nishan hote hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.