samne hote hue jaane kahan hoti hai
sāmne hote hue jaane kahāñ hotī hai
bevafā.ī tire chehre se ayaañ hotī hai
terī āvāz mujhe us se kahīñ baḌh kar hai
roze-dāroñ ke liye jaise azaañ hotī hai
diqqateñ is ko nahīñ hotī haiñ talvāroñ se
dil agar TuuTe to bas vaj.h zabāñ hotī hai
ek laḌkī hai vo chhoTe se nagar kī lekin
merī ḳhātir vo mujhe saarā jahāñ hotī hai
ham ko lāzim hai vo ik shaḳhs bhī aise 'rāhil'
shīr-ḳhvāroñ ke liye jaise ki maañ hotī hai
samne hote hue jaane kahan hoti hai
bewafai tere chehre se ayan hoti hai
teri aawaz mujhe us se kahin baDh kar hai
roze-daron ke liye jaise azan hoti hai
diqqaten is ko nahin hoti hain talwaron se
dil agar TuTe to bas wajh zaban hoti hai
ek laDki hai wo chhoTe se nagar ki lekin
meri KHatir wo mujhe sara jahan hoti hai
hum ko lazim hai wo ek shaKHs bhi aise 'rahil'
shir-KHwaron ke liye jaise ki man hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.