samne jo kaha nahin hota
sāmne jo kahā nahīñ hotā
tum se koī gila nahīñ hotā
jo ḳhafā hai ḳhafā nahīñ hotā
ham ne gar sach kahā nahīñ hotā
is meñ jo ektā nahīñ hotī
ghar ye hargiz bachā nahīñ hotā
jāntā kis tarah ki kyā hai ġhurūr
vo jo uThkar girā nahīñ hotā
naav kyuuñ us ke hāthoñ sauñpī thī
nāḳhudā to ḳhudā nahīñ hotā
tap nahīñ saktā dukh kī aañch meñ jo
ḳhuud se vo āshnā nahīñ hotā
prem ḳhud sā kare na jo sab se
phir vo 'darvesh' sā nahīñ hotā
samne jo kaha nahin hota
tum se koi gila nahin hota
jo KHafa hai KHafa nahin hota
hum ne gar sach kaha nahin hota
is mein jo ekta nahin hoti
ghar ye hargiz bacha nahin hota
jaanta kis tarah ki kya hai ghurur
wo jo uThkar gira nahin hota
naw kyun us ke hathon saunpi thi
naKHuda to KHuda nahin hota
tap nahin sakta dukh ki aanch mein jo
KHud se wo aashna nahin hota
prem KHud sa kare na jo sab se
phir wo 'darwesh' sa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.