samne koi bhi manzar na saman hota hai
sāmne koī bhī manzar na samāñ hotā hai
dil sulagtā hai to āñkhoñ meñ dhuāñ hotā hai
jaane kis shahr kī dhartī pe qadam hai apnā
apne hone pe na hone kā gumāñ hotā hai
zindagī shahd se shīrīñ hai to zahrāb bhī hai
is kā ehsās magar sab ko kahāñ hotā hai
kabhī ḳhurshīd pe hotā hai gumāñ zarre kā
koī zarra kabhī ḳhurshīd-nishāñ hotā hai
jāda-e-fahm-o-farāsat meñ bhī milte haiñ sarāb
har yaqīñ manzil-e-sad-vahm-o-gumāñ hotā hai
pattharoñ se hai shikāyat na to rāhoñ se gila
Thokareñ khā ke mirā azm javāñ hotā hai
dil kuchh is taur hai mānūs ġham-e-hastī se
aish kā is pe tasavvur bhī girāñ hotā hai
merā maazī hai sulagte hue sahrā kī tarah
sail-e-ashk āñkhoñ se yuuñ hī na ravāñ hotā hai
choT jab paḌtī hai fankār ke dil par 'jauhar'
dard sūrat-gar-e-iz.hār-e-bayāñ hotā hai
samne koi bhi manzar na saman hota hai
dil sulagta hai to aankhon mein dhuan hota hai
jaane kis shahr ki dharti pe qadam hai apna
apne hone pe na hone ka guman hota hai
zindagi shahd se shirin hai to zahrab bhi hai
is ka ehsas magar sab ko kahan hota hai
kabhi KHurshid pe hota hai guman zarre ka
koi zarra kabhi KHurshid-nishan hota hai
jada-e-fahm-o-farasat mein bhi milte hain sarab
har yaqin manzil-e-sad-wahm-o-guman hota hai
pattharon se hai shikayat na to rahon se gila
Thokaren kha ke mera azm jawan hota hai
dil kuchh is taur hai manus gham-e-hasti se
aish ka is pe tasawwur bhi giran hota hai
mera mazi hai sulagte hue sahra ki tarah
sail-e-ashk aankhon se yun hi na rawan hota hai
choT jab paDti hai fankar ke dil par 'jauhar'
dard surat-gar-e-izhaar-e-bayan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.