samne se jab guzar jate hain aap
sāmne se jab guzar jaate haiñ aap
ham pe ik jaadū sā kar jaate haiñ aap
barhamī se to nikhar jaate haiñ aap
aur bhī dil meñ utar jaate haiñ aap
ham pe jo guzre vo gintī meñ nahīñ
be-niyāzī se guzar jaate haiñ aap
dekhiye suniye zarā ruk jā.iye
chhoḌ kar ham ko kidhar jaate haiñ aap
dard-e-dil kā kuchh to darmāñ kījiye
dard hai dil meñ magar jaate haiñ aap
dil-navāzī aap kī fitrat nahīñ
kis liye dil toḌ kar jaate haiñ aap
kis qadar vīrān hai duniyā-e-dil
aah is se be-ḳhabar jaate haiñ aap
ham bhī haiñ chashm-e-karam ke muntazir
kyoñ nigāheñ pher kar jaate haiñ aap
chalte chalte kis par aa jaatā hai rahm
jaate jaate kyoñ Thahar jaate haiñ aap
log jo kahte haiñ vo kahte raheñ
kyoñ kisī kī baat par jaate haiñ aap
ishq to hai raunaq-e-bazm-e-hayāt
ishq se kyoñ itnā Dar jaate haiñ aap
ye muqaddar kā karam hai ai 'bahār'
chaah se pyāse agar jaate haiñ aap
samne se jab guzar jate hain aap
hum pe ek jadu sa kar jate hain aap
barhami se to nikhar jate hain aap
aur bhi dil mein utar jate hain aap
hum pe jo guzre wo ginti mein nahin
be-niyazi se guzar jate hain aap
dekhiye suniye zara ruk jaiye
chhoD kar hum ko kidhar jate hain aap
dard-e-dil ka kuchh to darman kijiye
dard hai dil mein magar jate hain aap
dil-nawazi aap ki fitrat nahin
kis liye dil toD kar jate hain aap
kis qadar viran hai duniya-e-dil
aah is se be-KHabar jate hain aap
hum bhi hain chashm-e-karam ke muntazir
kyon nigahen pher kar jate hain aap
chalte chalte kis par aa jata hai rahm
jate jate kyon Thahar jate hain aap
log jo kahte hain wo kahte rahen
kyon kisi ki baat par jate hain aap
ishq to hai raunaq-e-bazm-e-hayat
ishq se kyon itna Dar jate hain aap
ye muqaddar ka karam hai ai 'bahaar'
chah se pyase agar jate hain aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.