samne se jo wo nigar gaya
sāmne se jo vo nigār gayā
dil pe tīr-e-nigāh maar gayā
dekho betābī dil kī us dar par
ek din meñ hazār baar gayā
manzil-e-ishq tak na pahuñchā aah
maiñ to chalte hī chalte haar gayā
tere qurbān ke to laa.eq huuñ
aur kāmoñ se go maiñ haar gayā
paas se us ke sab ga.e ḳhursand
ek 'afsos' sogvār gayā
samne se jo wo nigar gaya
dil pe tir-e-nigah mar gaya
dekho betabi dil ki us dar par
ek din mein hazar bar gaya
manzil-e-ishq tak na pahuncha aah
main to chalte hi chalte haar gaya
tere qurban ke to laeq hun
aur kaamon se go main haar gaya
pas se us ke sab gae KHursand
ek 'afsos' sogwar gaya
- Book : Ghazal Usne Chhedi(2) (Pg. 27)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.