samne us saf-e-mizhgan ke main kal jaunga
sāmne us saf-e-mizhgāñ ke maiñ kal jā.ūñgā
chhid to jā.ūñgā par aage se na Tal jā.ūñgā
teġh us abrū kī jab ma.arka-ārā hogī
apnī jāñ-bāzī ke gauhar maiñ ugal jā.ūñgā
hai kaf-e-pā vo musaffā ki jise dhyān meñ lā
pā-e-nazzāra ye kahtā hai phisal jā.ūñgā
mujh ko dete ho abas ḳhāna-e-zanjīr meñ jā
juuñ sadā maiñ abhī is ghar se nikal jā.ūñgā
aap se chāhūñ to uTh jā.ūñgā is bazm se maiñ
aur ik huuñ bhī karoge to machal jā.ūñgā
garche huuñ be-harakat zo.af se juuñ ātish-e-sañg
par jo chheḌā to sharar-sāñ maiñ uchhal jā.ūñgā
mom huuñ maiñ to butāñ mujh ko na samjho aahan
Tuk bhī tum garm hue to maiñ pighal jā.ūñgā
ġhussa ho kar tum agar laakh tarah badlo rang
maiñ vo yak-rang nahīñ huuñ jo badal jā.ūñgā
bekalī aaj bhī vaañ le ga.ī mujh ko to 'nazīr'
maiñ ne har-chand ye chāhā thā ki kal jā.ūñgā
samne us saf-e-mizhgan ke main kal jaunga
chhid to jaunga par aage se na Tal jaunga
tegh us abru ki jab marka-ara hogi
apni jaan-bazi ke gauhar main ugal jaunga
hai kaf-e-pa wo musaffa ki jise dhyan mein la
pa-e-nazzara ye kahta hai phisal jaunga
mujh ko dete ho abas KHana-e-zanjir mein ja
jun sada main abhi is ghar se nikal jaunga
aap se chahun to uTh jaunga is bazm se main
aur ek hun bhi karoge to machal jaunga
garche hun be-harakat zoaf se jun aatish-e-sang
par jo chheDa to sharar-san main uchhal jaunga
mom hun main to butan mujh ko na samjho aahan
Tuk bhi tum garm hue to main pighal jaunga
ghussa ho kar tum agar lakh tarah badlo rang
main wo yak-rang nahin hun jo badal jaunga
bekali aaj bhi wan le gai mujh ko to 'nazir'
main ne har-chand ye chaha tha ki kal jaunga
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.