sancha wahi ghisa hua phir dhar liya gaya
sāñcha vahī ghisā huā phir dhar liyā gayā
kab āb-o-gil se kaam barābar liyā gayā
laayā nahīñ gayā 'amal is faisle pe kyoñ
vo faisla jo soch samajh kar liyā gayā
phir dastakeñ bhī chāhiye hoñgī ḳhabar na thī
dīvār-o-bām bech ke ik dar liyā gayā
jin bartanoñ ko chhoḌ gayā ḳhālī kar ke tū
yādoñ ke kankaroñ se unheñ bhar liyā gayā
sancha wahi ghisa hua phir dhar liya gaya
kab aab-o-gil se kaam barabar liya gaya
laya nahin gaya 'amal is faisle pe kyon
wo faisla jo soch samajh kar liya gaya
phir dastaken bhi chahiye hongi KHabar na thi
diwar-o-baam bech ke ek dar liya gaya
jin bartanon ko chhoD gaya KHali kar ke tu
yaadon ke kankaron se unhen bhar liya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.