saneha qismaton ke darichon mein lapkega chhup jaega baat Tal jaegi
saneha qismaton ke darichon mein lapkega chhup jaega baat Tal jaegi
Yasmeen Hameed
MORE BYYasmeen Hameed
sāneha qismatoñ ke darīchoñ meñ lapkegā chhup jā.egā baat Tal jā.egī
sab musāfir gharoñ ko palaT jā.eñge ġham kī vahshat ḳhushī meñ badal jā.egī
ham sitāroñ kī mānind TūTeñge aur āsmāñ par lakīreñ banā jā.eñge
maut kā raqs kartī huī ek saa.at rukegī kahīñ phir sambhal jā.egī
saare bikhre hue lafz koī uThā lā.egā aan kī aan meñ aur phir
uljhī uljhī zabāñ apnī tartīb badlegī aur ik kahānī meñ Dhal jā.egī
ek din ham irāda kareñge ki ab apne ḳhvāboñ kī qīmat nahīñ leñge ham
ek din ham badal jā.eñge aur phir ḳhud-baḳhud saarī duniyā badal jā.egī
jab sitāre bujheñge to shab ke samundar meñ lahroñ kā ruḳh dekhne ke liye
sub.h-e-kāzib kī āñkheñ achānak khuleñgī bashārat kī qindīl jal jā.egī
dard kī lau kī maddham harārat ke pahlū meñ patthar kā dil bhī taḌaḳh jā.egā
ye jo lohe kī dīvār atrāf-e-jāñ khīñch rakhī hai ye bhī pighal jā.egī
ye bhī hogā ki dil aise ho jā.egā jaise is meñ koī aarzū hī na thī
itnā ḳhālī ye ho jā.egā ḳhālī hone kī dil se ḳhalish bhī nikal jā.egī
saneha qismaton ke darichon mein lapkega chhup jaega baat Tal jaegi
sab musafir gharon ko palaT jaenge gham ki wahshat KHushi mein badal jaegi
hum sitaron ki manind TuTenge aur aasman par lakiren bana jaenge
maut ka raqs karti hui ek saat rukegi kahin phir sambhal jaegi
sare bikhre hue lafz koi uTha laega aan ki aan mein aur phir
uljhi uljhi zaban apni tartib badlegi aur ek kahani mein Dhal jaegi
ek din hum irada karenge ki ab apne KHwabon ki qimat nahin lenge hum
ek din hum badal jaenge aur phir KHud-baKHud sari duniya badal jaegi
jab sitare bujhenge to shab ke samundar mein lahron ka ruKH dekhne ke liye
subh-e-kazib ki aankhen achanak khulengi bashaarat ki qindil jal jaegi
dard ki lau ki maddham hararat ke pahlu mein patthar ka dil bhi taDaKH jaega
ye jo lohe ki diwar atraf-e-jaan khinch rakhi hai ye bhi pighal jaegi
ye bhi hoga ki dil aise ho jaega jaise is mein koi aarzu hi na thi
itna KHali ye ho jaega KHali hone ki dil se KHalish bhi nikal jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.