sanjh sawere panchhi gaen le kar tera nam
sāñjh savere panchhī gaa.eñ le kar terā naam
Daalī Daalī par hai terī yādoñ ke bisrām
bichhḌā sāthī DhūñDh rahī hai gūñjoñ kī ik Daar
bhīge bhīge nain uThā.e dekh rahī hai shaam
mīThī niiñd meñ Duube gaañv bujh ga.e saare diip
birhā ke māroñ kā sukh ke sapnoñ se kyā kaam
chhoḌ shikārī apnī ghāteñ badal gayā sansār
uḌ jā.eñge ab to panchhī le kar terā daam
āñkhoñ par palkoñ kā sājan kab hotā hai bojh
duur se aa.e ho tum nain biich karo ārām
sanjh sawere panchhi gaen le kar tera nam
Dali Dali par hai teri yaadon ke bisram
bichhDa sathi DhunDh rahi hai gunjon ki ek Dar
bhige bhige nain uThae dekh rahi hai sham
miThi nind mein Dube ganw bujh gae sare dip
birha ke maron ka sukh ke sapnon se kya kaam
chhoD shikari apni ghaten badal gaya sansar
uD jaenge ab to panchhi le kar tera dam
aankhon par palkon ka sajan kab hota hai bojh
dur se aae ho tum nain bich karo aaram
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.