sanp sa leTa hua sunsan rasta samne tha
saañp sā leTā huā sunsān rasta sāmne thā
ḳhatra āġhāz-e-safar meñ ek aisā sāmne thā
dasht meñ ghamsān kā vo ran paḌā thā kuchh na pūchho
dhuup merī pusht par thī aur saayā sāmne thā
ab to un āñkhoñ ke aage ā.īna hai aur maiñ huuñ
haa.e mizhgāñ kholne se pahle kyā kyā sāmne thā
buzdil aise the bhigo paa.e na apne haath tak ham
donoñ baazū the salāmat aur dariyā sāmne thā
maiñ masāfat kī tarah thā biich meñ simTā huā sā
pusht kī jānib samundar aur sahrā sāmne thā
vasl ke ḳhvāboñ meñ ab vo raushnī baaqī nahīñ thī
hijr kī rātoñ meñ sone kā natīja sāmne thā
sanp sa leTa hua sunsan rasta samne tha
KHatra aaghaz-e-safar mein ek aisa samne tha
dasht mein ghamsan ka wo ran paDa tha kuchh na puchho
dhup meri pusht par thi aur saya samne tha
ab to un aankhon ke aage aaina hai aur main hun
hae mizhgan kholne se pahle kya kya samne tha
buzdil aise the bhigo pae na apne hath tak hum
donon bazu the salamat aur dariya samne tha
main masafat ki tarah tha bich mein simTa hua sa
pusht ki jaanib samundar aur sahra samne tha
wasl ke KHwabon mein ab wo raushni baqi nahin thi
hijr ki raaton mein sone ka natija samne tha
- Book : Nakhl-e-Aab (Pg. 195)
- Author : Rafeeq Raaz
- Publication : Takbeer Publications, Srinagar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.