sans aae kabhi chali jae
saañs aa.e kabhī chalī jaa.e
haar jaa.eñ yā maat dī jaa.e
uubne lag gayā huuñ ab maulā
mere andar se ḳhāmushī jaa.e
kyā maraz hai mujhe pata ho kyā
ab to dil se ye be-kalī jaa.e
bas ye kahtā rahā faqat rogī
maut aa jaa.e zindagī jaa.e
kuchh marīzoñ se maiñ to behtar huuñ
haa.e kuchh kī to kyā kahī jaa.e
kaun zinda hai aspatāloñ meñ
maut bistar TaToltī jaa.e
ek hassās aadmī kī vyathā
ek aurat se kyā kahī jaa.e
ziist mujh ko aziiz hai 'sohil'
maut siine se kyoñ lagī jaa.e
sans aae kabhi chali jae
haar jaen ya mat di jae
ubne lag gaya hun ab maula
mere andar se KHamushi jae
kya maraz hai mujhe pata ho kya
ab to dil se ye be-kali jae
bas ye kahta raha faqat rogi
maut aa jae zindagi jae
kuchh marizon se main to behtar hun
hae kuchh ki to kya kahi jae
kaun zinda hai aspatalon mein
maut bistar TaTolti jae
ek hassas aadmi ki wyatha
ek aurat se kya kahi jae
zist mujh ko aziz hai 'sohil'
maut sine se kyon lagi jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.