sans lene ka kab mahal hai yahan
saañs lene kā kab mahal hai yahāñ
saañs lenā to ik jadal hai yahāñ
ye hai āshob-e-shahr kā mausam
sinf-e-matrūk ab ġhazal hai yahāñ
maiñ palak bhī jhapak nahīñ saktī
mesmerism kā kyā amal hai yahāñ
tum ne ūñToñ kī dauḌ dekhī hai
tifl kis kā sar-e-jamal hai yahāñ
lamha lamha badaltā jaatā hai
kaun jaane ki kyā aTal hai yahāñ
'sa.adiya' aarzū kā hāsil kyā
koī har chiiz kā badal hai yahāñ
sans lene ka kab mahal hai yahan
sans lena to ek jadal hai yahan
ye hai aashob-e-shahr ka mausam
sinf-e-matruk ab ghazal hai yahan
main palak bhi jhapak nahin sakti
mesmerism ka kya amal hai yahan
tum ne unTon ki dauD dekhi hai
tifl kis ka sar-e-jamal hai yahan
lamha lamha badalta jata hai
kaun jaane ki kya aTal hai yahan
'sadiya' aarzu ka hasil kya
koi har chiz ka badal hai yahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.