sans leta hun to sine mein jalan hoti hai
saañs letā huuñ to siine meñ jalan hotī hai
zindagī ab tujhe sochūñ to thakan hotī hai
husn ke aage bhī ik husn-e-azal hotā hai
raushnī meñ bhī koī pahlī kiran hotī hai
'ishq to Thiik magar zehn khulā rakh apnā
khiḌkiyāñ band hoñ ghar meñ to ghuTan hotī hai
laakh ye dā'vā kareñ bhuul ga.e haiñ us ko
zikr par us ke zarā sī to shikan hotī hai
jā-ba-jā mauj-e-ḳhizāñ dekh ke rone vaale
phuul kā TūTnā bhī rasm-e-chaman hotī hai
sans leta hun to sine mein jalan hoti hai
zindagi ab tujhe sochun to thakan hoti hai
husn ke aage bhi ek husn-e-azal hota hai
raushni mein bhi koi pahli kiran hoti hai
'ishq to Thik magar zehn khula rakh apna
khiDkiyan band hon ghar mein to ghuTan hoti hai
lakh ye da'wa karen bhul gae hain us ko
zikr par us ke zara si to shikan hoti hai
ja-ba-ja mauj-e-KHizan dekh ke rone wale
phul ka TuTna bhi rasm-e-chaman hoti hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 35)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.