sans lete jawan lamhon ki
saañs lete javān lamhoñ kī
koī samjhe zabān lamhoñ kī
kaun detā rahā tavātur se
sehn-e-dil meñ azaan lamhoñ kī
ab ke aanā to phir yahīñ rahnā
kyoñ banūñ mezbān lamhoñ kī
jab vo mahfil meñ rū-barū aa.eñ
rok lenā uḌaan lamhoñ kī
haa.e vo ik nazar mirī jānib
jab huī mehrbān lamhoñ kī
vaqt ke ḳhār-dār jangal meñ
ham ne bāñdhī machān lamhoñ kī
ham ko sadiyoñ udaas rakkhegī
dukh bharī dāstān lamhoñ kī
tum mirī ziist kā asāsa ho
tum 'atā ho mahān lamhoñ kī
vo hai pahlū meñ is ghaḌī 'ambar'
auj par hai uThān lamhoñ kī
sans lete jawan lamhon ki
koi samjhe zaban lamhon ki
kaun deta raha tawatur se
sehn-e-dil mein azan lamhon ki
ab ke aana to phir yahin rahna
kyon banun mezban lamhon ki
jab wo mahfil mein ru-baru aaen
rok lena uDan lamhon ki
hae wo ek nazar meri jaanib
jab hui mehrban lamhon ki
waqt ke KHar-dar jangal mein
hum ne bandhi machan lamhon ki
hum ko sadiyon udas rakkhegi
dukh bhari dastan lamhon ki
tum meri zist ka asasa ho
tum 'ata ho mahan lamhon ki
wo hai pahlu mein is ghaDi 'ambar'
auj par hai uThan lamhon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.