saañs merī ye āḳhirī to nahīñ
saath tere milī huī to nahīñ
jab talak hai ise guzārūñgā
zindagī terī dī huī to nahīñ
jo suhūlat banī hai tere liye
vo suhūlat banī huī to nahīñ
apnā honā gañvānā paḌtā hai
sahl itnī bhī sādgī to nahīñ
chhoḌ aa.e ho jo bharī duniyā
phir se tum ko pukārtī to nahīñ
ai mire dil fareb kyā tujh ko
phir se ummīd shaam kī to nahīñ
dil meñ chingāriyāñ sī jaltī haiñ
ye mohabbat bhī āḳhirī to nahīñ
saarī chhuTTiyoñ meñ tujh ko yaad kiyā
ishq hai tujh se naukrī to nahīñ
'najm' kyoñ pāgaloñ se phirte ho
aa.ine par nazar paḌī to nahīñ
sans meri ye aaKHiri to nahin
sath tere mili hui to nahin
jab talak hai ise guzarunga
zindagi teri di hui to nahin
jo suhulat bani hai tere liye
wo suhulat bani hui to nahin
apna hona ganwana paDta hai
sahl itni bhi sadgi to nahin
chhoD aae ho jo bhari duniya
phir se tum ko pukarti to nahin
ai mere dil fareb kya tujh ko
phir se ummid sham ki to nahin
dil mein chingariyan si jalti hain
ye mohabbat bhi aaKHiri to nahin
sari chhuTTiyon mein tujh ko yaad kiya
ishq hai tujh se naukri to nahin
'najm' kyon pagalon se phirte ho
aaine par nazar paDi to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.