sans sine mein jakaD jata hai
saañs siine meñ jakaḌ jaatā hai
ab ta.alluq jo bigaḌ jaatā hai
muddatoñ ho na mulāqāt agar
fāsla tuul pakaḌ jaatā hai
jis kā rishta na zamīñ se qaa.em
vo shajar jaḌ se ukhaḌ jaatā hai
kab maiñ aatā huuñ shikanje meñ bhalā
ik ḳhayāl us kā jakaḌ jaatā hai
jahāñ dīvāroñ meñ dar rote hoñ
aisā ghar jald ujaḌ jaatā hai
mujh meñ aaseb basā hai 'safdar'
jo bhī miltā hai bichhaḌ jaatā hai
sans sine mein jakaD jata hai
ab talluq jo bigaD jata hai
muddaton ho na mulaqat agar
fasla tul pakaD jata hai
jis ka rishta na zamin se qaem
wo shajar jaD se ukhaD jata hai
kab main aata hun shikanje mein bhala
ek KHayal us ka jakaD jata hai
jahan diwaron mein dar rote hon
aisa ghar jald ujaD jata hai
mujh mein aaseb basa hai 'safdar'
jo bhi milta hai bichhaD jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.