sans zanjir ki manind saza ki gai hai
saañs zanjīr kī mānind sazā kī ga.ī hai
ya.anī hijrat mirī qismat meñ ravā kī ga.ī hai
maiñ kisī zulm pe ḳhāmosh nahīñ rah saktā
ye baġhāvat mujhe virse meñ atā kī ga.ī hai
ain-mumkin hai mire dost maiñ baḳhshā jā.ūñ
aaj mere liye masjid meñ duā kī ga.ī hai
ba.ad-az karb-o-balā lafz ke ma.anī badle
ism-e-abbās se tafsīr-e-vafā kī ga.ī hai
is liye ma.anī ujāle kī alāmat hai 'suhaib'
raushnī lafz kī āñkhoñ meñ fanā kī ga.ī hai
sans zanjir ki manind saza ki gai hai
yani hijrat meri qismat mein rawa ki gai hai
main kisi zulm pe KHamosh nahin rah sakta
ye baghawat mujhe wirse mein ata ki gai hai
ain-mumkin hai mere dost main baKHsha jaun
aaj mere liye masjid mein dua ki gai hai
baad-az karb-o-bala lafz ke mani badle
ism-e-abbas se tafsir-e-wafa ki gai hai
is liye mani ujale ki alamat hai 'suhaib'
raushni lafz ki aankhon mein fana ki gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.