sanson ke pasban bahut thak chuki hun main
sāñsoñ ke pāsbān bahut thak chukī huuñ maiñ
ḳhud kah rahī hai jaan bahut thak chukī huuñ maiñ
ummīd ke ai dhundhle sitāre na jagmagā
ab mat ho mehrbān bahut thak chukī huuñ maiñ
sāñsoñ ke donoñ hāthoñ se ḳhud apne jism kā
thāme hue makān bahut thak chukī huuñ maiñ
pal pal junūn-e-ishq kī manzil kā aap ko
de de ke itmīnān bahut thak chukī huuñ maiñ
mujh ko bulandiyoñ se pukārā gayā to phir
kah dūñgī āsmān bahut thak chukī huuñ maiñ
dafnā do mujh ko mere hī maazī kī qabr maiñ
jī jī ke vartamān bahut thak chukī huuñ maiñ
bujhte hue charāġh sī kahtī hai ab 'shikhā'
ai rabb-e-do-jahān bahut thak chukī huuñ maiñ
sanson ke pasban bahut thak chuki hun main
KHud kah rahi hai jaan bahut thak chuki hun main
ummid ke ai dhundhle sitare na jagmaga
ab mat ho mehrban bahut thak chuki hun main
sanson ke donon hathon se KHud apne jism ka
thame hue makan bahut thak chuki hun main
pal pal junun-e-ishq ki manzil ka aap ko
de de ke itminan bahut thak chuki hun main
mujh ko bulandiyon se pukara gaya to phir
kah dungi aasman bahut thak chuki hun main
dafna do mujh ko mere hi mazi ki qabr main
ji ji ke wartaman bahut thak chuki hun main
bujhte hue charagh si kahti hai ab 'shikha'
ai rabb-e-do-jahan bahut thak chuki hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.