sanson ki lapaT pa ke pighal jaegi chunri
sāñsoñ kī lapaT pā ke pighal jā.egī chunrī
oḌho na badan aag pe jal jā.egī chunrī
chunrī pe ubhar ā.eñge mandir ke kalash bhī
masjid kī bhī mehrāb meñ Dhal jā.egī chunrī
tum bhor bha.e bholī sahelī se na milnā
rātoñ kī mahak pā ke badal jā.egī chunrī
malmal bhī zarūrī nahīñ voile bhī na oḌho
is umr meñ laTThe kī bhī chal jā.egī chunrī
bach bach ke chaloge to lipaT jā.egī ai 'hosh'
pakḌoge to hāthoñ se nikal jā.egī chunrī
sanson ki lapaT pa ke pighal jaegi chunri
oDho na badan aag pe jal jaegi chunri
chunri pe ubhar aaenge mandir ke kalash bhi
masjid ki bhi mehrab mein Dhal jaegi chunri
tum bhor bhae bholi saheli se na milna
raaton ki mahak pa ke badal jaegi chunri
malmal bhi zaruri nahin woile bhi na oDho
is umr mein laTThe ki bhi chal jaegi chunri
bach bach ke chaloge to lipaT jaegi ai 'hosh'
pakDoge to hathon se nikal jaegi chunri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.