sanson ko de ke tohfa-e-nikhat guzar gai
sāñsoñ ko de ke tohfa-e-nik.hat guzar ga.ī
chhū kar mujhe havā-e-mohabbat guzar ga.ī
āñkhoñ meñ e'tibār kā mausam basā rahā
mujh ko fareb de ke vo sūrat guzar ga.ī
mahsūs kar rahā huuñ use har nafas ke saath
vo jis ke intizār meñ muddat guzar ga.ī
āñkhoñ meñ ek karb sā lahrā ke rah gayā
nazroñ se jab bhī terī shabāhat guzar ga.ī
vaqt aa paḌā zamīr-faroshī kā gar kabhī
dāman bachā ke merī zarūrat guzar ga.ī
'ābid' mire liye to qayāmat se kam na thī
kahne ko us ke hijr kī saa.at guzar ga.ī
sanson ko de ke tohfa-e-nikhat guzar gai
chhu kar mujhe hawa-e-mohabbat guzar gai
aankhon mein e'tibar ka mausam basa raha
mujh ko fareb de ke wo surat guzar gai
mahsus kar raha hun use har nafas ke sath
wo jis ke intizar mein muddat guzar gai
aankhon mein ek karb sa lahra ke rah gaya
nazron se jab bhi teri shabahat guzar gai
waqt aa paDa zamir-faroshi ka gar kabhi
daman bacha ke meri zarurat guzar gai
'abid' mere liye to qayamat se kam na thi
kahne ko us ke hijr ki saat guzar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.