sanson mein base ho tum aankhon mein chhupa lunga
sāñsoñ meñ base ho tum āñkhoñ meñ chhupā lūñgā
jab chāhūñ tumheñ dekhūñ ā.īna banā lūñgā
yādoñ se kaho merī bālīñ se chalī jaa.eñ
ab ai shab-e-tanhā.ī ārām zarā lūñgā
ranjish se judā.ī tak kyā sāneha guzrā hai
kyā kyā mujhe da.avā thā jab chāhūñ manā lūñgā
tasvīr ḳhayālī hai har aañkh savālī hai
duniyā mujhe kyā degī duniyā se meñ kyā lūñgā
kab lauT ke aaoge isrār nahīñ kartā
itnā mire bas meñ hai maiñ umr ghaTā lūñgā
kyā tohmateñ duniyā ne ai 'shāz' uThā.ī haiñ
ik tohmat-e-hastī thī sochā thā uThā lūñgā
sanson mein base ho tum aankhon mein chhupa lunga
jab chahun tumhein dekhun aaina bana lunga
yaadon se kaho meri baalin se chali jaen
ab ai shab-e-tanhai aaram zara lunga
ranjish se judai tak kya saneha guzra hai
kya kya mujhe dawa tha jab chahun mana lunga
taswir KHayali hai har aankh sawali hai
duniya mujhe kya degi duniya se mein kya lunga
kab lauT ke aaoge israr nahin karta
itna mere bas mein hai main umr ghaTa lunga
kya tohmaten duniya ne ai 'shaz' uThai hain
ek tohmat-e-hasti thi socha tha uTha lunga
- Book : Kulliyat-e- Shaz Tamkanat (Pg. 435)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.