sanson mein rag-o-pai mein samaya hai koi aur
sāñsoñ meñ rag-o-pai meñ samāyā hai koī aur
hai ziist kisī aur kī jiitā hai koī aur
āñkhoñ ne basā.ī hai koī aur hī sūrat
us dil ke nihāñ-ḳhāne meñ Thahrā hai koī aur
kyā turfa tamāshā hai ki us dil kī sadā ko
suntā hai koī aur samajhtā hai koī aur
ik aag hai jo dil meñ bujhī jaatī hai har-pal
ḳhirman se jo uThtā hai vo sho.ala hai koī aur
lāshe haiñ kināre pe paḌe tishna-laboñ ke
jo pyaas bujhātā hai vo dariyā hai koī aur
har sub.h pe saaya sā hai kuchh talḳhī-e-shab kā
har shaam ko andesha-e-fardā hai koī aur
ik bū-e-rifāqat sī fazāoñ meñ hai 'shāhid'
is kūcha-e-begāna se guzrā hai koī aur
sanson mein rag-o-pai mein samaya hai koi aur
hai zist kisi aur ki jita hai koi aur
aankhon ne basai hai koi aur hi surat
us dil ke nihan-KHane mein Thahra hai koi aur
kya turfa tamasha hai ki us dil ki sada ko
sunta hai koi aur samajhta hai koi aur
ek aag hai jo dil mein bujhi jati hai har-pal
KHirman se jo uThta hai wo shoala hai koi aur
lashe hain kinare pe paDe tishna-labon ke
jo pyas bujhata hai wo dariya hai koi aur
har subh pe saya sa hai kuchh talKHi-e-shab ka
har sham ko andesha-e-farda hai koi aur
ek bu-e-rifaqat si fazaon mein hai 'shahid'
is kucha-e-begana se guzra hai koi aur
- Book : Kahein Kuch Nahein Hota (Pg. 122)
- Author : Shahid Mahuli
- Publication : Miaar Publications (2003)
- Edition : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.