sanson mein tasalsul hai na aankhon mein jila hai
sāñsoñ meñ tasalsul hai na āñkhoñ meñ jilā hai
aise meñ vo mā.il-ba-karam hoñ bhī to kyā hai
jab un se bichhaḌ kar bhī hameñ jiinā paḌā hai
taqdīr kī 'azmat kā ab ehsās huā hai
is sidq-e-dilī ne bhī hameñ ḳhvār kiyā hai
jo dil meñ hai sab kuchh vahī chehre pe likhā hai
kal zikr-e-vafā jin kī samā'at pe girāñ thā
sunte haiñ unheñ tark-e-vafā par bhī gila hai
phir sāya-figan hai mire dil par ġham-e-daurāñ
shāyad ġham-e-jānāñ kā fusūñ Tuut gayā hai
har saal bahāroñ meñ lahū roī haiñ āñkheñ
har baar nayā zaḳhm bahāroñ ne diyā hai
zaḳhmī sī ik ummīd hai dil meñ abhī 'afzal'
le de ke yahī kuchh hai jo dāman meñ bachā hai
sanson mein tasalsul hai na aankhon mein jila hai
aise mein wo mail-ba-karam hon bhi to kya hai
jab un se bichhaD kar bhi hamein jina paDa hai
taqdir ki 'azmat ka ab ehsas hua hai
is sidq-e-dili ne bhi hamein KHwar kiya hai
jo dil mein hai sab kuchh wahi chehre pe likha hai
kal zikr-e-wafa jin ki sama'at pe giran tha
sunte hain unhen tark-e-wafa par bhi gila hai
phir saya-figan hai mere dil par gham-e-dauran
shayad gham-e-jaanan ka fusun Tut gaya hai
har sal bahaaron mein lahu roi hain aankhen
har bar naya zaKHm bahaaron ne diya hai
zaKHmi si ek ummid hai dil mein abhi 'afzal'
le de ke yahi kuchh hai jo daman mein bacha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.