saqi-e-rangin-ada tha baada-e-gulfam tha
sāqī-e-rangīñ-adā thā bāda-e-gulfām thā
nāseh-e-mushfiq lihāz-e-tauba mushkil kaam thā
jo tajallī-āshnā thā jalva-gāh-e-ām meñ
vo nigāheñ thiiñ hamārī yā dil-e-nākām thā
merā afsāna sunāyā qais ne farhād ne
ab bhī maiñ badnām huuñ pahle bhī maiñ badnām thā
un kī mahfil meñ faqat maiñ hī na thā hasrat-zada
sham.a bhī afsurda thī parvāna bhī nākām thā
kyā sunā.ūñ aap ko afsāna-e-rāh-e-vafā
muḳhtasar ye hai ki maiñ nākām huuñ nākām thā
ab hameñ vo din vo rāteñ yaad aatī haiñ 'rashīd'
kū-e-jānāñ kī bahāreñ thiiñ dil-e-ḳhush-kām thā
saqi-e-rangin-ada tha baada-e-gulfam tha
naseh-e-mushfiq lihaz-e-tauba mushkil kaam tha
jo tajalli-ashna tha jalwa-gah-e-am mein
wo nigahen thin hamari ya dil-e-nakaam tha
mera afsana sunaya qais ne farhad ne
ab bhi main badnam hun pahle bhi main badnam tha
un ki mahfil mein faqat main hi na tha hasrat-zada
shama bhi afsurda thi parwana bhi nakaam tha
kya sunaun aap ko afsana-e-rah-e-wafa
muKHtasar ye hai ki main nakaam hun nakaam tha
ab hamein wo din wo raaten yaad aati hain 'rashid'
ku-e-jaanan ki bahaaren thin dil-e-KHush-kaam tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.