saqi-gari ka farz ada kar diya gaya
sāqī-garī kā farz adā kar diyā gayā
paanī kā ghūñT zahr milā kar diyā gayā
bas tajraboñ kī nazr hue apne saare ḳhvāb
kyā ham ne karnā chāhā thā kyā kar diyā gayā
vābastagī kisī kī to is ġham-kade se hai
varna yahāñ pe kaun jalā kar diyā gayā
ab qaid ḳhatm hone kī vo kyā ḳhushī manā.e
par qaiñch kar ke jis ko rihā kar diyā gayā
ḳhū-e-sitam tumheñ dī hameñ ḳhū-e-zabt-e-ġham
sab ko ba-qadr-e-zarf atā kar diyā gayā
ik zikr aisā chheḌā kisī ġham-gusār ne
bharne ko thā jo zaḳhm harā kar diyā gayā
saqi-gari ka farz ada kar diya gaya
pani ka ghunT zahr mila kar diya gaya
bas tajrabon ki nazr hue apne sare KHwab
kya hum ne karna chaha tha kya kar diya gaya
wabastagi kisi ki to is gham-kade se hai
warna yahan pe kaun jala kar diya gaya
ab qaid KHatm hone ki wo kya KHushi manae
par qainch kar ke jis ko riha kar diya gaya
KHu-e-sitam tumhein di hamein KHu-e-zabt-e-gham
sab ko ba-qadr-e-zarf ata kar diya gaya
ek zikr aisa chheDa kisi gham-gusar ne
bharne ko tha jo zaKHm hara kar diya gaya
- Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 423)
- Author : Murtaza Barlas
- Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.