saqi hi jab na hoga to mai-KHana phir kahan
saaqī hī jab na hogā to mai-ḳhāna phir kahāñ
āsūda hogā jazba-e-rindāna phir kahāñ
sahrā-e-ġham ko aap na mahdūd kījiye
jā kar rahegā aap kā dīvāna phir kahāñ
dīvāngān-e-ishq ko rahne bhī dījiye
suniyegā aap dard kā afsāna phir kahāñ
terā ishāra silsila-jumbāñ na ho agar
ye dasht phir kahāñ tirā dīvāna phir kahāñ
rindān-e-mai-parast jo uTh jaa.eñ bazm se
ye anjuman ye gardish-e-paimāna phir kahāñ
apnī jafā-o-jaur pe qaa.em raheñ huzūr
varna milegā ye dil-e-dīvāna phir kahāñ
sun le hikāyat-e-ġham-e-barbādī-e-hayāt
mahfil meñ terī ishq kā afsāna phir kahāñ
mujh ko sikhā.e husn ne ādāb-e-bandagī
varna ḳhayāl-e-ka.aba-o-but-ḳhāna phir kahāñ
tere huzūr kar luuñ agar ijz maiñ qubūl
merī taraf nigāh-e-harīfāna phir kahāñ
uTh jaa.e tere ruḳh se agar parda-e-majāz
hangāma-hā-e-ka.aba-o-but-ḳhāna phir kahāñ
'sāqib' mirī hī zaat se sahrā kā naam hai
baaqī rahegī azmat-e-vīrāna phir kahāñ
saqi hi jab na hoga to mai-KHana phir kahan
aasuda hoga jazba-e-rindana phir kahan
sahra-e-gham ko aap na mahdud kijiye
ja kar rahega aap ka diwana phir kahan
diwangan-e-ishq ko rahne bhi dijiye
suniyega aap dard ka afsana phir kahan
tera ishaara silsila-jumban na ho agar
ye dasht phir kahan tera diwana phir kahan
rindan-e-mai-parast jo uTh jaen bazm se
ye anjuman ye gardish-e-paimana phir kahan
apni jafa-o-jaur pe qaem rahen huzur
warna milega ye dil-e-diwana phir kahan
sun le hikayat-e-gham-e-barbaadi-e-hayat
mahfil mein teri ishq ka afsana phir kahan
mujh ko sikhae husn ne aadab-e-bandagi
warna KHayal-e-kaba-o-but-KHana phir kahan
tere huzur kar lun agar ijz main qubul
meri taraf nigah-e-harifana phir kahan
uTh jae tere ruKH se agar parda-e-majaz
hangama-ha-e-kaba-o-but-KHana phir kahan
'saqib' meri hi zat se sahra ka nam hai
baqi rahegi azmat-e-virana phir kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.