saqi khulta hai paimana khulta hai
saaqī khultā hai paimāna khultā hai
sachche rindoñ par mai-ḳhāna khultā hai
un galiyoñ meñ log bhaTakte dekhe haiñ
jin galiyoñ meñ dānish-ḳhāna khultā hai
mujh ko paḌhne aa jaate haiñ lākhoñ log
jab bhī ġhazloñ kā tah-ḳhāna khultā hai
tum par shāyad chaar bahāreñ khultī hoñ
mujh se to har pal vīrāna khultā hai
sab kī āñkhoñ meñ aañsū aa jaate haiñ
'āzar' jab koī dīvāna khultā hai
saqi khulta hai paimana khulta hai
sachche rindon par mai-KHana khulta hai
un galiyon mein log bhaTakte dekhe hain
jin galiyon mein danish-KHana khulta hai
mujh ko paDhne aa jate hain lakhon log
jab bhi ghazlon ka tah-KHana khulta hai
tum par shayad chaar bahaaren khulti hon
mujh se to har pal virana khulta hai
sab ki aankhon mein aansu aa jate hain
'azar' jab koi diwana khulta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.