Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saqi ko agar fikr-e-mudawa bhi nahin hai

Shauq Mahri

saqi ko agar fikr-e-mudawa bhi nahin hai

Shauq Mahri

MORE BYShauq Mahri

    saaqī ko agar fikr-e-mudāvā bhī nahīñ hai

    is kam-nigahī hameñ shikva bhī nahīñ hai

    vo jaur se baaz aayā ho aisā bhī nahīñ hai

    aur shahr meñ zālim kahīñ rusvā bhī nahīñ hai

    achchhā hai agar aap ho jaa.e ishāra

    tūfān ka.ī roz se uThThā bhī nahīñ hai

    palkoñ pe chamakne lage ashkoñ ke sitāre

    hoñToñ pe tabassum abhī aayā bhī nahīñ hai

    kis daur meñ tum mehr-o-vafā DhūñD rahe ho

    ab dil meñ kahīñ ḳhauf-e-ḳhudā bhī nahīñ hai

    kyā jāniye kyā baat hai kyā bhuul ga.e vo

    muddat huī dil zor se dhaḌkā bhī nahīñ hai

    ai 'shauq' ġhazal kahte ho aur tum ko abhī tak

    alfāz baratne salīqa bhī nahīñ hai

    saqi ko agar fikr-e-mudawa bhi nahin hai

    is kam-nigahi ka hamein shikwa bhi nahin hai

    wo jaur se baz aaya ho aisa bhi nahin hai

    aur shahr mein zalim kahin ruswa bhi nahin hai

    achchha hai agar aap ka ho jae ishaara

    tufan kai roz se uThTha bhi nahin hai

    palkon pe chamakne lage ashkon ke sitare

    honTon pe tabassum abhi aaya bhi nahin hai

    kis daur mein tum mehr-o-wafa DhunD rahe ho

    ab dil mein kahin KHauf-e-KHuda ka bhi nahin hai

    kya jaaniye kya baat hai kya bhul gae wo

    muddat hui dil zor se dhaDka bhi nahin hai

    ai 'shauq' ghazal kahte ho aur tum ko abhi tak

    alfaz baratne ka saliqa bhi nahin hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now