saqi mai-e-wahdat ka wo jam pila mujhko
saaqī mai-e-vahdat kā vo jaam pilā mujh ko
miT jaa.e ḳhudī dil se mil jaa.e ḳhudā mujh ko
duniyā meñ milā zāhid jannat kā maza mujh ko
hāsil hai bahāroñ meñ ik kaif nayā mujh ko
dekhā thā tirā jalva jab hosh na thā mujh ko
ab yaad nahīñ aatā kuchh is ke sivā mujh ko
ye marhale tai hoñge duniyā meñ mohabbat ke
pahuñchā.egā manzil tak ḳhud zauq-e-fanā mujh ko
kyā un ko sunā.ūñ maiñ afsāna-e-barbādī
aatī hai nazar is meñ kuchh dil kī ḳhatā mujh ko
jab apnī haqīqat ko maiñ ḳhud hī nahīñ samjhā
kyā terī ḳhabar mujh ko kyā terā pata mujh ko
kyā un kā bigaḌtā hai sajdoñ se 'zabīh' apne
kyoñ aañkh dikhāte haiñ naqsh-e-kaf-e-pā mujh ko
saqi mai-e-wahdat ka wo jam pila mujh ko
miT jae KHudi dil se mil jae KHuda mujh ko
duniya mein mila zahid jannat ka maza mujh ko
hasil hai bahaaron mein ek kaif naya mujh ko
dekha tha tera jalwa jab hosh na tha mujh ko
ab yaad nahin aata kuchh is ke siwa mujh ko
ye marhale tai honge duniya mein mohabbat ke
pahunchaega manzil tak KHud zauq-e-fana mujh ko
kya un ko sunaun main afsana-e-barbaadi
aati hai nazar is mein kuchh dil ki KHata mujh ko
jab apni haqiqat ko main KHud hi nahin samjha
kya teri KHabar mujh ko kya tera pata mujh ko
kya un ka bigaDta hai sajdon se 'zabih' apne
kyon aankh dikhate hain naqsh-e-kaf-e-pa mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.