saqi phir aaya saghar-e-sahba liye hue
saaqī phir aaya sāġhar-e-sahbā liye hue
yā merī zindagī kā sahārā liye hue
āñkhoñ meñ haiñ vo chashma-e-sahbā liye hue
yā āb-e-zindagī ke haiñ dariyā liye hue
baiThā huuñ intizār meñ ik hīla-jū ke phir
rag-rag meñ iztirāb kī duniyā liye hue
tajdīd-e-va.ada phir huī tamhīd-e-iztirāb
phir ḳhirman-e-umīd hai sho.ala liye hue
nazr-e-nigāh-e-nargis-e-mastāna ho gayā
aaya thā shaiḳh ḳhirqa-e-taqvā liye hue
merā sukūt matlab-e-be-lafz ho to ho
maiñ aa.uuñ aur arz-e-tamannā liye hue
is tarah us kī bazm se dil le chalā huuñ maiñ
jis tarah koī jaa.e janāza liye hue
phir kar rahā huuñ ġhaur vajūhāt-e-ishq par
us paikar-e-jamāl kā naqsha liye hue
zālim kā har sitam hai tavajjoh kī ik dalīl
us kī jafā vafā kā hai naqsha liye hue
phir jā rahā hai 'bedil'-e-afsurda dekhiye
ġhārat-gar-e-sukūñ kī tamanna liye hue
saqi phir aaya saghar-e-sahba liye hue
ya meri zindagi ka sahaara liye hue
aankhon mein hain wo chashma-e-sahba liye hue
ya aab-e-zindagi ke hain dariya liye hue
baiTha hun intizar mein ek hila-ju ke phir
rag-rag mein iztirab ki duniya liye hue
tajdid-e-wada phir hui tamhid-e-iztirab
phir KHirman-e-umid hai shoala liye hue
nazr-e-nigah-e-nargis-e-mastana ho gaya
aaya tha shaiKH KHirqa-e-taqwa liye hue
mera sukut matlab-e-be-lafz ho to ho
main aaun aur arz-e-tamanna liye hue
is tarah us ki bazm se dil le chala hun main
jis tarah koi jae janaza liye hue
phir kar raha hun ghaur wajuhat-e-ishq par
us paikar-e-jamal ka naqsha liye hue
zalim ka har sitam hai tawajjoh ki ek dalil
us ki jafa wafa ka hai naqsha liye hue
phir ja raha hai 'bedil'-e-afsurda dekhiye
ghaarat-gar-e-sukun ki tamanna liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.