saqi se nahin baDh ke koi nabz shanas aur
saqi se nahin baDh ke koi nabz shanas aur
Basheer Ahmed Shaheed
MORE BYBasheer Ahmed Shaheed
saaqī se nahīñ baḌh ke koī nabz shanās aur
barsāt meñ de detā hai do-chār gilās aur
dil meñ ho agar soz-e-tamannā kī harārat
armān kī tā.īd meñ baḌh jaatī hai aas aur
jab ūñghne lagtī hai irādoñ kī javānī
hastī ke saman-zār bhī hote haiñ udaas aur
hai ruup ki bahrūp hai insān kā ye bhī
hindū kā libās aur hai muslim kā libās aur
nairañgī-e-hastī hai ki ye gulshan-e-hastī
har phuul kā rañg aur hai har phuul kī baas aur
kyā māñgiye ayyām se ummīd hī kyā hai
gardish ke sivā kuchh nahīñ ayyām ke paas aur
inkār hī behtar hai 'shahīd' aise karam se
do ghūñT se kyā hotā hai baḌh jaatī hai pyaas aur
saqi se nahin baDh ke koi nabz shanas aur
barsat mein de deta hai do-chaar gilas aur
dil mein ho agar soz-e-tamanna ki hararat
arman ki taid mein baDh jati hai aas aur
jab unghne lagti hai iradon ki jawani
hasti ke saman-zar bhi hote hain udas aur
hai rup ki bahrup hai insan ka ye bhi
hindu ka libas aur hai muslim ka libas aur
nairangi-e-hasti hai ki ye gulshan-e-hasti
har phul ka rang aur hai har phul ki bas aur
kya mangiye ayyam se ummid hi kya hai
gardish ke siwa kuchh nahin ayyam ke pas aur
inkar hi behtar hai 'shahid' aise karam se
do ghunT se kya hota hai baDh jati hai pyas aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.