saqi tera jamal bhi meri nazar mein hai
saaqī tirā jamāl bhī merī nazar meñ hai
maiñ jāntā huuñ nuur jo shams-o-qamar meñ hai
merā lahū bahā ke adū mutma.in nahīñ
ab merā ḳhāndān bhī us kī nazar meñ hai
aḳhbār dekhtā hai vo hasrat kī aañkh se
qaarī kī zindagī kisī achchhī ḳhabar meñ hai
yūñhī nahīñ hai shaam se āñkhoñ meñ iztirāb
ḳhushbū batā rahī hai koī rahguzar meñ hai
māñjhī badal badal ke mirī fikr thak ga.ī
lekin mirā safīna abhī tak bhañvar meñ hai
chhuTkārā pā ga.e haiñ sabhī is ḳhayāl se
insāniyat kā dard faqat mere sar meñ hai
dariyā ke do kināre haiñ milte nahīñ kabhī
'muztar' azal se bair yahāñ ḳhair-o-shar meñ hai
saqi tera jamal bhi meri nazar mein hai
main jaanta hun nur jo shams-o-qamar mein hai
mera lahu baha ke adu mutmain nahin
ab mera KHandan bhi us ki nazar mein hai
aKHbar dekhta hai wo hasrat ki aankh se
qari ki zindagi kisi achchhi KHabar mein hai
yunhi nahin hai sham se aankhon mein iztirab
KHushbu bata rahi hai koi rahguzar mein hai
manjhi badal badal ke meri fikr thak gai
lekin mera safina abhi tak bhanwar mein hai
chhuTkara pa gae hain sabhi is KHayal se
insaniyat ka dard faqat mere sar mein hai
dariya ke do kinare hain milte nahin kabhi
'muztar' azal se bair yahan KHair-o-shar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.