saqi tere saghar ke talabgar bahut hain
saaqī tire sāġhar ke talabgār bahut haiñ
mai kam hai magar bazm meñ mai-ḳhvār bahut haiñ
chaukhaT se tirī uTh ke na jā.eñge kahīñ aur
dīvāne haiñ phir bhī ye samajhdār bahut haiñ
hai un kī bhī āñkhoñ meñ tire diid kī ḳhvāhish
jo haiñ pas-e-dīvār vo ḳhud.dār bahut haiñ
bas jins-e-vafā kī koī qīmat nahīñ miltī
miTTī bhī jo becho to ḳharīdār bahut haiñ
kahtī haiñ ye tālāb meñ bahtī huī lāsheñ
is gaañv meñ qātil ke taraf-dār bahut haiñ
is dil ke dhaḌakne kī sadā kaun sunegā
is mulk meñ īñToñ ke parastār bahut haiñ
koī bhī sar-e-dār nazar aaya na ham ko
kahne ke liye mīsam-e-tammār bahut haiñ
vāris koī miltā nahīñ ab lauh-o-qalam kā
kahne ko to 'rizvān' qalamkār bahut haiñ
saqi tere saghar ke talabgar bahut hain
mai kam hai magar bazm mein mai-KHwar bahut hain
chaukhaT se teri uTh ke na jaenge kahin aur
diwane hain phir bhi ye samajhdar bahut hain
hai un ki bhi aankhon mein tere did ki KHwahish
jo hain pas-e-diwar wo KHuddar bahut hain
bas jins-e-wafa ki koi qimat nahin milti
miTTi bhi jo becho to KHaridar bahut hain
kahti hain ye talab mein bahti hui lashen
is ganw mein qatil ke taraf-dar bahut hain
is dil ke dhaDakne ki sada kaun sunega
is mulk mein inTon ke parastar bahut hain
koi bhi sar-e-dar nazar aaya na hum ko
kahne ke liye misam-e-tammar bahut hain
waris koi milta nahin ab lauh-o-qalam ka
kahne ko to 'rizwan' qalamkar bahut hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.